Wednesday 6 January 2016

mashq e sukhan

Hasrat sabhi ki puri hoti nahi jaha'n mein
Ik rengta zami'n par ik udta aasma'n mein

:br
:br
 :br


Aankh se toot ke aakaash mein jaata hoga

Tera aansu wo jo moti ki tarah dikhta hai

Tere chehre ko nigaaho se hata kar dekha
Zindagani ko yun hi pal mein bikharte paaya

Chaashni chaashni honto pe bikhar jaati hai
Jab mere lab pe kabhi naam tera aata hai

Aaj phir aaina rutha sa nazar aata hai
Ruthe ruthe dar o deewar nazar aate hain
Aaj phir bin tere deedar ke mai lauta hoon


ManzileN pair choom le gir kar
Khud ko us raah ka musafir kar